top of page
Search
  • Writer's pictureshikhar kwatra

Woh Haseen Yaadein

zindagi mein jab khoya tha main

mano saasein lena bhool gaya tha main

doston ki yaadon ke sang

sapnon ki udaan mein doob gaya tha main


yaaron ka yaar banne chale the

beech safar mein yun bhatke pade the

aisi khushiyon ka sangam hua tha

jaise kabhi kuch khatam he nai hua tha


samay ka pahia aise ruka pada tha

mano dharti ka ghumna band hua pada tha

aise haseen yaadon mein kho gaye the hum

ki kamyaabi ka milna mushkil ho gaya tha


doston ke sang aage chal pade the

idhar ya udhar latke pade the

kuch ata pata na tha mushkilon ka

ke keval ek hi vichaar ka aana laga tha

ki kya hoga apni zindagi ka

jab bhule bhatke hum firte rahenge


yun hi kisi na kisi disha mein chalte rahenge

ab jab yaad aate hain wo haseen lamhe

tab yun hi ruk jaata hai har samaa

aisa lagta hai

jaise kabhi kuch shuru hi nai hua tha!!!

2 views0 comments

Recent Posts

See All

Baatein

Baatein, Meri tumhari Jo do baatein Unkahi si hai Jo raatein Na jaane honge kahaaan Baatein, thehri si jo baatein Humari rozi mulakaatein Na jaane milenge kahaaan Baatein, Meri tumhari Jo do baatein U

New to Inventing?!

Let’s get you started!!! Think about it for a second – why did Thomas Edison have a thousand patents in his lifetime? How was he so obsessed with technology? What drove him into the world of science?

The talk - Life

I get up, ready for a new day! "Dusk", yes dusk, dawns upon me flashing rays of inferiority and insecurity rising from previous life indicating that regardless of where I am, I will always feel far le

Post: Blog2_Post
bottom of page