Baatein, Meri tumhari Jo do baatein
Unkahi si hai Jo raatein
Na jaane honge kahaaan
Baatein, thehri si jo baatein
Humari rozi mulakaatein
Na jaane milenge kahaaan
Baatein, Meri tumhari Jo do baatein
Unkahi si hai wo raatein
Na jaane honge kahaaan
Raatein, sehmi hui si jo raatein
Tumhare bin rahein adhoori
Na jaane kab hongi poori
Hawayein bhi yeh gungunayein
Lafzon pe ruki baatein...
Bas yuhi theher jaayein
Woh Baaatein...
Baatein, Meri tumhari Jo do baatein
Unkahi si hai Jo raatein
Na jaane honge kahaaan
Din mein Khwabon ke rang banayein
Yun hi sang ik naav chalayein
lafzon ke itr mein behti jaayein
Woh Baaatein...
Baatein, Meri tumhari Jo do baatein
Unkahi si hai Jo raatein
Na jaane honge kahaaan
Comments