panchi chechaha rahe the, badal garaj rahe the
par humein toh kuch sunayi na de rha tha
kyunki hum toh us priya ki muskurat ka tinka dekhne mein;
uske hothon pe sehmi hui woh harsh ullas ki nishaani,
ka intezaar kar rhe the;
samay nikla jaa rha tha
woh naraaz baithi thi
hum thehre huye the
woh sehmi huyi thi;
apni palkein chupaye
aansun bahati jaa rhi thi
par jaise hi din badla, badal badje;
zabaan pe aate woh lafz
usse yun keh na pa rhe the,
ki aisi kyu sehmi baithi ho,
kya baat hai, mujhe bhi zara
apni aashanka ka kaaran suna do;
mujhe bhi apne aankhon se nikalte
aansuon ki parchai bana ke,
izhaar kardo, kuch suna do, bol do ki kya baat hai
zara hasdo, kuch swar suna do
zara toh muskura do;
kya pata,
kya pata
jis din tumne apne dil ke dwaar khol diye,
apne dil se zabaan pe aate unn lafzon ka izhaar karna;
yadi tum apne sir ko mere kandhon pe rakhna;
aur khul ke mamta, vaishali aur kavita ke vichaar
sirf aur sirf humse karna,
apne dukhon ka prayashit karna,
apne sukhon ka gungaan karna
jab humse shuru kar dogi;
toh kya pata,
kya pata,
iss nacheez ko ek sahara mil jayega
uss dine hum tumhare sang
bina kuch soche bas yun hi chal padenge;
Comments