top of page
Search
Writer's pictureshikhar kwatra

Papa

pyaare pyaare papa meri ungli pakdein

kadmo pe chalna sikhayein

bin kahe mere saare sapno ko youn

khushi se apna banayein


main unki raj dulari

achi lage ye duniya saari

main jab bhi aansun bahaun

ik pyaar bhari jhappi mein paun

unke bina main reh na paun

Unke sath se hi khush ho jaun


Komal haathon se woh khaana khilaate

Mere rooth jaane pe yu har pal manaate


main unki raj dulari

achi lage ye duniya saari

main jab bhi aansun bahaun

ik pyaar bhari jhappi mein paun


Mujhe papa kyu yun itna sataate

Par unse duur hum reh Nai paate

Bina unke kaun khushiyan bikhere

Unke bina na ho Ek bhi sawere

Tum Bin muh pe chaayi Hai udaasi

Tum mere pehle pyaar.. main hun aaap ki daasi


main unki raj dulari

achi lage ye duniya saari

main jab bhi aansun bahaun

ik pyaar bhari jhappi mein paun


Pyaare hain Papa mere pyaare sabse pyaare

Baawre maan ko khushiyon se sawaare

Hamesha mujhe kyu chalane di manmaani

sapno ko poora karne ki tumne thaani


main unki raj dulari

achi lage ye duniya saari

main jab bhi aansun bahaun

ik pyaar bhari jhappi mein paun

8 views0 comments

Recent Posts

See All

Baatein

Baatein, Meri tumhari Jo do baatein Unkahi si hai Jo raatein Na jaane honge kahaaan Baatein, thehri si jo baatein Humari rozi mulakaatein...

New to Inventing?!

Let’s get you started!!! Think about it for a second – why did Thomas Edison have a thousand patents in his lifetime? How was he so...

The talk - Life

I get up, ready for a new day! "Dusk", yes dusk, dawns upon me flashing rays of inferiority and insecurity rising from previous life...

コメント


Post: Blog2_Post
bottom of page